kuchh beete hue lamho se mulakat hui
kuchh tute hue sapno se baat hui
yaad jo karne baithe un tamam yaado ko
to aapki hi yaado se shuruat hui
UNHE KISSA-E-GAM SUNATE SUNATE
KATI RAATEIN AANSU BAHATE BAHATE
KAHI BUJH NA JAYE CHIRAAG-E-TAMANNA
CHIRAAG-E-MOHABBAT JALAATE JALAATE
KISSI KO KHABAR HI NAHI LUT GAYAA HU
MOHABBAT KI DUNIYA BASATE BASAATE
KEHDE KOI UNSE…..
WO KHUD BAAZ AAYE APNE SITAM SE
HUM THAK GAYE HAIN MANATE MANATE.
Jo hukum karta hai woh iltejaa bhi karta hai…
Yeh Aasman bhi jaake kahin pe jhukta hai’
Tu agar bewafa hai to yeh buri khabar bhi sun le..
Mera intezaar koi aur bhi kartaa hai…
Pyar kisi se jo karoge ruswai hi milegi…Wafa kar lo chahe jitni Bewafai hi milegi…
Jitna marzi kisi ko apna bana lo,
Jab ankh khulegi… Tanhai hi milegi !
Dariya wafaoo ka kabi rukta nahi,
Mohabat me insaan kabhi jukta nahi,
Hum chup hai kisi ki khushi ke liye,
aur wo sochte hai dil hamara dukhta nahi.
Apno ne Zehar ka jaam de diya,
Gairon ne Bewafa naam de diya.
Wo jo kehte they bhul na jana hume,
Aaj unhone hi bhari MEHFIL me ANJAAN keh diya hain….
Bahut tamanna thi, pyar mein aashiyan banane ki,
Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki.
Usi ka karz hai, jo aaj hai aankhon mein aansoo,
Saza mili hai humein muskurane ki !
Hum ne jab kiya dard-e-dil ko baya, to sher ban gaya,
Logo ne suna wah wah kiya, dard aur badh gaya.
Mohobbat ki paak rooh mere shero me hai,
Ek likha gam kam karne ke liye to gam aur badh gaya.
“Zindagi Sirf Mohabbat Nahin Kuch Aur Bhi Hai
Zulf-o-Rukhsaar ki Jannat Nahi Kuch Aur Bhi Hai
Bhookh Aur Pyaas ki Maari Hui Is Duniya Mein
Ishq Ek Haqeeqat Nahin Kuch Aur Bhi Hai.”
0 comments:
Post a Comment